Phoolon se kya dosti karte ho – Pyar mohabbat shayari

Phoolon se kya dosti karte ho,
Phool to murjha jaate hain,
Agar dosti karni hai to kaanton se karo,
Kyun ki woh chubh kar bhi yaad aatein hain ||




Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi aur bahata bhi nahi,

Is kadar akele hain raahon me dil ki,
Koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi ||


Wo baat kya karu jiski khabar hi na ho,
Wo dua kya karu jisme asar hi na ho,

Kaise kah du aap ko lag jaaye meri umar,
Kya pata agle pal meri umar hi na ho ||




Mohabbat me hum mashoor kya huwe,
Har harkat humari deewangi lagne lagi,

Lafz jo nikle haal-e-dil ka bayan karne,
Zamane ko har wo baat shahyari lagne lagi ||


Dil ka dard kisiko bataya na karo,
Aankhon me chuppe aansu bahaya na karo,

Log mutthi me namak liye ghumte hain,
Apne zakhm kisiko dikhaya na karo ||




Fir na simtegi agar dosti bikhar jayegi,
Zindagi zulf nahi jo fir se sawar jayegi.

Jo khushi de tumhe thaam lo daaman uska,
Zindagi roke nahi has ke gujar jayegi ||


Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye ||




Ek talwar ki keemat hoti hai uski dhaar se,
Insaan ki keemat hoti hai uske vyavhaar se ||




Shayari conveys emotions in all its forms through rhythmic words. Read a collection of Love Mohabbat Shayari, Romantic Shayari, Broken Hear Shayari, Sad Shayari, Funny Shayari, dard shayari, Friendship shayari, Good morning shayari, Hindi status for Whatsapp & Facebook @ shayarino1.com

More Hindi Pyar mohabbat shayari like “Phoolon se kya dosti karte ho” Love Mohabbat Shayari / Nafrat Hate Shayari / Alone Shayari / Dard / Sad Shayari / Happy Birthday Wishes Shayari @shayarino1.com

Wo Mohabbat Ke Saude Bhi Azeeb Karta Hai – Pyaar Mohabbat Shayari

Tamanna Hai Meri Ki Aapki Aarzoo Ban Jaoon – Romantic Shayari

Humein Fir Pyaar Aa Gaya Jab Wo Khafa Hone Lage – Romantic Shayari

Ek Tum Hi Par Mar Mite Hain – Romantic Shayari

Mubaraq Ho JanamDin – Happy Birthday Shayari

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *