Ilzaam Shayari – ilzaam Hajaro Hain

Ilzaam Shayari

Duniya Ko Hakiqat Ka Meri Pata Kuchh Bhi Nahi,
ilzaam Hajaro Hain Aur Khata Kuchh Bhi Nahi.

दुनिया को हकीकत का मेरी पता कुछ भी नहीं,
इल्जाम हजारो हैं और खता कुछ भी नहीं।





Ke Rula Diya Humne

Jis Ke Liye Sab Kuchh Luta Diya Humne,
Wo Kehte Hai Unko Bhula Diya Humne,
Gaye The Hum Unke Aansu Pochne,
ilzaam De Diya Ki Unko Rula Diya Humne.

जिस के लिए सब कुछ लुटा दिया हमने,
वो कहते हैं उनको भुला दिया हमने,
गए थे हम उनके आँसू पोछने,
इल्ज़ाम दे दिया की उनको रुला दिया हमने।


ilzaam Jhuthe Hi Sahi

Bas Yehi Soch Kar Koyi Safai Nahi Di Humne,
Ki ilzaam Jhuthe Hi Sahi Par Lagaye To Tumne Hain.

बस यही सोच कर कोई सफाई नहीं दी हमने,
कि इल्ज़ाम झूठे ही सही पर लगाये तो तुमने हैं ।





Mujhe ilzaam Mat Dena

BeWafai Maine Nahi Ki Hai Mujhe ilzaam Mat Dena,
Mera Subut Mere Ashq Hain Mera Gawah Mera Dard Hai.

बेवफाई मैंने नहीं की है मुझे इल्ज़ाम मत देना,
मेरा सुबूत मेरे अश्क हैं मेरा गवाह मेरा दर्द है ।


Unpar Koi Ilzaam

Jaan Kar Bhi Wo Mujhe Jaan Na Paye,
Aaj Tak Wo Mujhe Pahchan Na Paye,
Khud Hi Kar Li Bewafai Humne,
Taake Unpar Koi Ilzaam Na Aaye

जान कर भी वो मुझे जान न पाए,
आज तक वो मुझे पहचान न पाए,
खुद ही कर ली वेबफाई हमने,
ताके उन पर कोई इल्ज़ाम न आये ।





Hans Kar Kabool

Hans Kar Kabool Kya Kar Li Sajayen Maine,
Jamane Ne Dastur Hi Bna Diya Har Ilzaam Mujh Par Madhne Ka.

हँस कर कबूल क्या कर ली सजाएँ मैंने,
ज़माने ने दस्तूर ही बना लिया हर इलज़ाम मुझ पर मढ़ने का।


Dil Ki Khwaish

Dil Ki Khwaish Ko Naam Kya Dun,
Pyar Ka Use Paigaam Kya Dun,
Is Dil Me Dard Nahin, Uski Yaaden Hain,
Ab Yaaden Hi Dard De,
To Use Ilzaam Kya Dun.

दिल की ख्वाहिश को नाम क्या दूँ,
प्यार का उसे पैगाम क्या दूँ,
दिल में दर्द नहीं, उसकी यादें हैं,
अब यादें ही दर्द दे,
तो उसे इल्ज़ाम क्या दूँ।





Lafjon Se Itna Ashiqana Thik Nahin Hai Janab,
Kisi Ke Dil Ke Par Hue To Ilzaam Katal Ka Lagega.

लफ्जों से इतना आशिकाना ठीक नहीं है ज़नाब,
किसी के दिल के पार हुए तो इल्जाम क़त्ल का लगेगा।


Ilzaam Laga Hai

Udas Zindagi, Udas Waqt, Udas Mousam,
Kitni Cheejon Pe Ilzaam Laga Hai Tere Na Hone Se.

उदास जिन्दगी, उदास वक्त, उदास मौसम,
कितनी चीजो पे इल्जाम लगा है तेरे ना होने से।


Ye Milabat Ka Daur

Ye Milabat Ka Daur Hai “Sahab” Yahan,
Ilzaam Lagaye Jate Hain Tareefon Ke Libas Me.

ये मिलावट का दौर हैं “साहब” यहाँ,
इल्जाम लगायें जाते हैं तारिफों के लिबास में।





Sabko Fikr Hai

Sabko Fikr Hai Apne Aap Ko Sahi Sabit Karne Ki,
Jaise Zindagi Nahin Koi Ilzaam Hai.

सबको फिक्र है अपने आप को सही साबित करने की,
जैसे जिन्दगी नहीं कोई इल्जाम है।


Koi Ilzaam Rah Gaya Ho

Koi Ilzaam Rah Gaya Ho To Wo Bhi De Do,
Pahle Bhi Hum Bure The, Ab Thode Aur Sahi.

कोई इल्जाम रह गया हो तो वो भी दे दो,
पहले भी हम बुरे थे, अब थोड़े और सही।





Be-Bajah Deewar Par Ilzaam Hai Batware Ka,
Kai Log Ek Kamre Me Bhi Alag Rahte Hain.

बेवजह दीवार पर इल्जाम है बंटवारे का,
कई लोग एक कमरे में भी अलग रहते हैं।


Hawaon Pe Ilzaam

Chirag Jalane Ka Saleeka Seekho Sahab,
Hawaon Pe Ilzaam Lagane Se Kya Hoga.

चिराग जलाने का सलीका सीखो साहब
हवाओं पे इल्ज़ाम लगाने से क्या होगा।





Zamane Par Na Ja

Meri Najron Ki Taraf Dekh Zamane Par Na Ja,
Ishq Masoom Hai Ilzaam Lagane Par Na Ja.

मेरी नजरों की तरफ देख जमानें पर न जा,
इश्क मासूम है इल्जाम लगाने पर न जा।







100+ Love Shayari (लव शायरी) in Hindi – Heart Touching, Mohabbat, Pyar, gam, dard
Shayari conveys emotions in all its forms through rhythmic words. Read a collection of Love Mohabbat Shayari, Romantic Shayari, Broken Heart Shayari, Sad Shayari, Funny Shayari, dard shayari, Friendship shayari, Good morning shayari, Hindi status for Whatsapp & Facebook @ shayarino1.com

More 100+ Love Mohabbat Shayari in English – Amazing Collection of Love Shayari (लव शायरी) in Hindi, Romantic Shayari in English/ Love Mohabbat Shayari / Nafrat Hate Shayari / Alone Shayari / Dard / Sad Shayari / Happy Birthday Wishes Shayari @shayarino1.com

100+ Love Shayari (लव शायरी) in Hindi – Heart Touching, Mohabbat, Pyar, gam, dard

एक चाहत है सिर्फ आपके साथ जीने की – Romantic Shayari in Hindi

Romantic Shayari – इससे ज़्यादा तुझे और कितना करीब लाऊँ मैं




Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *