Har shakhs mujhe aazmaana chahta hai – Life Shayari

Jaane kya mujhse zamaana chahta hai, Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai,
Jaane kya baat chalakti hai mere chehre se, Har shakhs mujhe aazmaana chahta hai ||


Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo, Ho raat to subah ka intzar karo,
Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko, Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo ||


Kagaz ki kashti thi aur pani ka kinara tha, Khelne ki masti thi aur dil awara tha,
Kahan aa gaye jawani ke daldal main, Kya kahen bachpan hi kitna pyara tha,
Utra tha chaand mere aangan main, Yeh sitaroan ko gawara na tha,
Main to sitaron se bagawat kar leta, Par chand bhi kaha hamara tha ||


Yeh sheeshe yeh sapne yeh dhage, Kise kya khabar hai kahan toot jaye.
Mohhabat ke dariya main tinke waffa ke, Na jane yeh kiss mod par doob jaye ||


Muradon ki manzil ke sapno main khoye, Mohabbat ki raho pe hum chal pade they.
Zara dur chal ke jab aankh khuli to, Kadi dhoop mein hum akele khade they.


Jab bhi dill mein koi vichar aata hai , Mera dill khamosh hokar rah jata hai.
Koi sab kuch keh kar pyar jatata hai, Aur koi kuch na keh kar bhi sabh kuch keh jata hai ||


Shikayat hai unhe ke hame mohabbat karna nahi aata,
Shikwa to iss dil ko bhi hai par ise shikayat karna nahi aata .


Dhoondta tha ke kaun mera saath nibhayega saaye ki tarah,
Sochta hu ke kaun mere jazbaton ko samjhega yaha,
Par jab khayal aaya unka jinhone hame kabhi akela nahi chchoda,
To laga in tanhayion se aachcha saathi mujhe milega kaha ||


Phoolon se kya dosti karte ho, Phool to murjha jaate hain.
Aggar dosti karni hai to kaanton se karo, Kyun ki woh chubh kar bhi yaad aatein hain ||


Kashti toofan se nikal sakti hai, Shama bujh ke bhi jal sakti hai,
Mayus na ho irade na badal aye dost, Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai ||


Bina gum khushi ka pata kaise chalega, Bina roye hansi ka maza kaise milega,
Wo jo bhi karta hai wo hi janta hai, Agar hum jaan gaye to use khuda kaun kahega ||


Is kadar na har baat yaron se pucho, Jo baat raaz ki ho isharon se puchho,
Leharo se khelna to samandar ka shauk hai, Lagti hai chot kaisi kinaron se puchho ||


Kashish honi chaiye kisi ko yaad karne ki, Lamhe to apne aap mil jayenge,
Waqt hone chahiye kisi ko milne ka, Bahane to apne aap mil jayenge ||


More Hindi  Life Shayari like “Har shakhs mujhe aazmaana chahta hai ”  @shayarino1.com

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *