zindagi bas ek hi baar milti hai – Shayari about Life

zindagi har pal dhalti hai,
jaise ret mutthi se fisalti hai,
shikwe kitne bhi ho kisi se,
fir bhi muskurate rahna,
kyunki yeh zindagi jaisi bhi hai,
bas ek hi baar milti hai.

ज़िन्दगी हर पल ढलती है,
जैसे रेत मुट्ठी से फिसलती है,
शिकवे कितने भी हो किसी से,
फिर भी मुस्कराते रहना,
क्योंकि ये ज़िन्दगी जैसी भी है,
बस एक ही बार मिलती है।


had-e-shahar se nikali to gaon-gaon chali,
kuchh yaadein mere sang paaon paaon chali,
safar jo dhoop ka kiya to tazurba hua,
woh zindgi hi kya jo chhao-chhao chali.

हद-ए-शहर से निकली तो गाँव गाँव चली,
कुछ यादें मेरे संग पाँव पाँव चली,
सफ़र जो धूप का किया तो तजुर्बा हुआ,
वो जिंदगी ही क्या जो छाँव छाँव चली।


kabhi palkon pe aansoo hai, kabhi lab per shikayat hai,
magar aye zindgi phir bhi, mujhe tujh se mohabbat hai,
jo aata hai woh jaata hai, yeh duniya aani jaani hai,
yehan her shaks musafir hai, safar mein zindagani hai,
ujalon ki zaroorat hai, andhera meri kismat hai,
kabhi palkon pe ansoo hai, kabhi lab par shikayat hai,
magar aye zindgi phir bhi, mujhe tujh se mohabbat hai.

कभी पलकों पे आंसू हैं, कभी लब पर शिकायत है,
मगर ऐ जिंदगी फिर भी, मुझे तुझसे मुहब्बत है।
जो जाता है वो जाता है, यह दुनिया आनी जानी है,
यहाँ हर शख्स मुसाफिर है, सफ़र में जिंदगानी है।
उजालों की जरूरत है, अँधेरा मेरी किस्मत है,
कभी पलकों पे आंसू हैं, कभी लब पर शिकायत है,
मगर ऐ जिंदगी फिर भी, मुझे तुझसे मुहब्बत है।


Akele hi gujar jaati hai tanha zindagi, log tasaliyan toh dete hai saath nahi dete. – Shayari about Life

Aye zindagi mujhko thoda sa mujhmein baki rehne de – Shayari about Lifemujhe tujh se 

itni bad-saluki na kar ai zindgi – shayari about Life

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *