Nafrat Karne Wale Bhi Ghazab Ka Pyar Karte Hain,
Jab Bhi Milte Hain Ki Tujhe Chhodenge Nahin. – Nafrat Shayari
नफरत करने वाले भी गज़ब का प्यार करते हैं,
जब भी मिलते है कहते हैं कि तुझे छोड़ेंगे नहीं।
Na Mohabbat Sabhali Gayi, Na Nafraten Pali Gayi,
Afsos Hai Uss Zindagi Ka, Jo Tere Peechhe Khali Gayi.
न मोहब्बत संभाली गई, न नफरतें पाली गईं,
अफसोस है उस जिंदगी का, जो तेरे पीछे खाली गई।
Jyada Kuchh Nahi Badla, Unke Aur Mere Beech Me,
Pahle Nafrat Nahi Thi, Ab Mohabbat Nahi Hai.
ज्यादा कुछ नहीं बदला, उनके और मेरे बीच में,
पहले नफरत नहीं थी, अब मोहब्बत नहीं हैं।
Mohabbat Karne Se Fursat Nahi Mili Yaaro,
Varna Hum Karke Batate Nafrat Kisko Kahte Hain.
मोहब्बत करने से फुरसत नहीं मिली यारो,
वरना हम करके बताते नफरत किसको कहते है।
Ehsaas Badal Jate Hain Bas Aur Kuchh Nahi,
Varna Nafrat Aur Mohabbat Ek Hi Dil Mein Hoti Hai.
एहसास बदल जाते हैं बस और कुछ नहीं,
वरना नफरत और मोहब्बत एक ही दिल में होती है।
Kuchh Juda Sa Hai Mere Mahboob Ka Andaaz,
Najar Bhi Mujh Par Hai Nafrat Bhi MujhSe Hi Hai.
कुछ जुदा सा है मेरे महबूब का अंदाज,
नजर भी मुझ पर है और नफरत भी मुझसे ही।
Mujhse Nafrat Karni Hai Toh Irade Majboot Rakhna,
Jara Se Bhi Agar Chooke To Mohabbat Ho Jayegi.
मुझसे नफरत ही करनी है तो इरादे मजबूत रखना,
जरा से भी अगर चूके तो मोहब्बत हो जायेगी।
Dekh Kar Usko Tera Yoon Palat Jana,
Nafrat Bata Rahi Hai, Tune Mohabbat Ghazab Ki Ki Thi.
देख कर उसको तेरा यूँ पलट जाना,
नफरत बता रही है तूने मोहब्बत गज़ब की की थी।
Woh Waqt Guzar Gaya Jab Mujhe Teri Aarzoo Thi,
Ab Tu Khuda Bhi Ban Jaaye To Main Sazda Na Karun.
वो वक़्त गुजर गया जब मुझे तेरी आरज़ू थी,
अब तू खुदा भी बन जाए तो मैं सज़दा न करूँ।
Kabhi Usne Bhi Hume Chahat Ka Paigam Likha Tha,
Sab Kuchh Usne Apna Humare Naam Likha Tha,
Suna Hai Aaj Unko Humare Zikr Se Nafrat Hai,
Jisne Kabhi Apne Dil Par Humara Naam Likha Tha.
कभी उसने भी हमें चाहत का पैगाम लिखा था,
सब कुछ उसने अपना हमारे नाम लिखा था,
सुना है आज उनको हमारे जिक्र से भी नफ़रत है,
जिसने कभी अपने दिल पर हमारा नाम लिखा था।
More Hindi Nafrat Shayari / Alone Shayari / Dard / Sad Shayari like “Nafrat Karne Wale Bhi Ghazab Ka Pyar Karte Hain” @shayarino1.com
Nafrat Hi Sahi Par Woh Mujhe Sochta To Hai – Nafrat Hate Shayari
Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin – Hindi Alone Shayari ( Lonely)
Na Sath Hai Kisi Ka Na Sahara Hai Koi – Hindi Alone Shayari ( Lonely)