Ya khuda meri duaaoon mein itna asar karde, Khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de.
Dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula, Nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de.
Agar manzil pana hai to haunsla sath rakhna, Agar pyar pana hai to aitbaar sath rakhna,
Aur agar chaho hamesha muskurana, To sab bhoolkar bas hamein yaad rakhana.
Rishta banana itna aasan hai Jaise MITTI pe MITTI se MITTI likhna
Aur rishta nibhana itna mushkil hai Jaise PANI pe PANI se PANI likhna ||
Samne Ho Manzil To Kadam Na Modna, Jo Dil Mai Ho Wo Khwab Na Todna,
Har Kadam Par Milegi Kamyabi Apko, Sirf Sitare Chhune Ke Liye Kabhi Zami Na Chhodna ||
Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna, Nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
Ye nahi kehte ke sath raho, Door sahi par yaad rakhna ||
Har ek se achchi baat karna fitrat hai hamari, Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari,
Koi hum ko yaad kare ya na kare, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari ||
Sahmi si nigaahon mein khwaab hum jaga denge, Sooni in raho pe phool hum khila denge,
Hamare sang muskura ke to dekhiye, Hum aapke har gham bhula denge ||
Phool se pehle khusboo ko to dekho, Karne se pehle kaam ko to dekho,
Kisi ke roop mein diwana na bano, Surat se pehle uske dil ko to dekho ||
Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata, Lehron se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata ||
Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain, Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain,
Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin, Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain ||
Yaad aaye jo tum humko abhi, Dil mein hui hulchal tabhi,
Lafzon ko tham liya zubaan ne haye, Kehna hai kuchh tumse par fir kabhi ||
Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rahte hain,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta ||
Duniya ka har shauk pala nahi jata, Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan, Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata ||
Khamoshi Ikrar Se Kam Nahi Hoti, Sadgi Bhi Singaar Se Kam Nahi Hoti,
Ye To Apna Apna Nazariya Hai, Warna Dosti Bhi Pyar Se Kam Nahi Hoti ||
Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya, Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya,
Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz, Sahjahan ne uske liye tajmahal bana diya ||
Kuch sitaron ki chamak nahi jaati, Kuch yaadon ki khanak nahi jaati,
Kuch logon se hota hai aisa rishta, Ke door rah ke bhi un ki mehak nahi jaati ||
Chehre ki hasi se har gam chupao, Bahut kuchh bolo par kuchh na batao,
Khud na rutho kabhi par sabko manao, Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao ||
Ek din sagar ne nadi se pucha, Kab tak milti rahogi mujh khare jal se,
Nadi ne hans kar kaha, Jab tak tujh me mithas na aa jaye tab tak ||
Phool bankar muskurana zindagi, Muskura ke gham bhulana zindagi,
Jeet kar koi khush ho to kya hua, Haar kar khushiyan manana bhi zindagi ||
Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai, Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai,
Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein, Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai ||
Shayari conveys emotions in all its forms through rhythmic words.
More Hindi Romantic Shayari like “Dard uska mujhe nazar kar de” Heart Touching Shayari @shayarino1.com
Tere khamosh honthon par mohabbat gungunati hai – Love Mohabbat Shayari
Mere Iss Dil Mein Aye Sanam Tere Khwab Sajaoonga – Romantic Shayari